Begum Akhtar

Posté dans HINDOUSTAN, REGARDER par kerbacho - Date : juin 15th, 2007

On croit rêver… Begum Akhtar à la télé !

Ghazal : Kaisi yeh dhoom machaai re
Tabla : Ustad Ramzan Khan
Sarangi : ?

Et avec les paroles ? Mais alors on peut même faire du karaoké. Fantastico.


Pour le karaoké:
tabeeyat inn dinoN be_gaanaey ghUm hoti jaati hai
mere hissey ki goya hAr khushi kUm hoti jaati hai

qayaamat kya! yeh aey husn’e do aalam hoti jaati hai
ke mehfil to wohi hai, dilkashi kUm hoti jaati hai

wohi maikhaana o sahbaa, wohi saaghar, wohi sheesha
magar aawaaz’e nushaanosh, maddham hoti jaati hai

wohi hai shahid o saaqi, magar dil bujhta jaata hai
wohi hai shama lekin raushni kUmm hoti jaati hai

wohi hai zindagi lekin Jigar* yeh haal hai apna
ke jaise zindagi se zindagi kUm hoti jaati hai

YouTube a changé la face du monde, y compris celle de la musique classique hindoustanie.

Ghazal (Faiz Ahmed Faiz) (Rag Chayanat)

aaey kuch abr, kuch sharaab aaey
uske baad aaey, jo azaab aaey

baam’e meena se, maahtaab utrey
dAst’e saaqi meiN, aaftaab aaey

hUr rAgey khoon mein phir charaaghaN ho
saamney phir woh be_naqaab aaey

kAr raha tha ghUmey jahaan ka hisaab
aaj tUm yaad be_hisaab aaey

jAl uthEy bazm’e ghair ke daamaaN
jAb bhi hUm khanumaaN_kharaab aaey

Faiz* ki raah! sAr ba sAr, manzil
hUm jahaN pahoNche, kaamyaab aaey